Monday, 25 January 2016

Page 24

     "Koi Bhi Ho Shariyat Sab Par Hujjat Hai Koi Kitna Hi Bada Ho, Wo Shariyat Ki Wajeh Se Bada Hota Hai, Lekin Shariyat Se Bada Nahi Hota”

   Aye Sachche Sunnio...Sachche Qadrio, Chishtio, Barkaatio, Razviyo...Mujaddide Aazam, Naayib e Imaam e Aazam  Sayyadi Sarkaar AalaHazrat radi Allahu anhu kya farmate hain Aaiye dekhte hain,  

Hamaare Sarkaar AalaHazrat Radi Allaahu Ta'ala Anhu Ne Apne Gulaamon Ko BeSahara Nahi Chhoda, Apne Wisaal Shareef Se Sirf 2 Ghanta 17 Minute Pehle Wasaaya Shareef Me Saaf Farma Diye, “Mera Deen O Mazhab Meri Kitaabon Se Zaahir Hai, Us Par Mazbooti Se Qaayem Rehna Har Farz Se Ahem Farz Hai” 

Allah Ta'ala Mujaddide Aazam Sarkaar Aalahazrat Radi Allah Ta'ala Anhu Ki Is Muqaddas Wasiyat Par Sakhti Se Hum Ko Qaayem Rehne Ki Taufeeq Ataa Farmaaye. Aur Is Wasaaya Shareef Ke Muqaable Me Kisi Bhi ilmi Shohrat, Shakhsiyat, Zaahiri Nisbat, Khaandaani Nisbat, Wajaahate Umoomi, Qaazi, Allaama Mufti Mohaddis, Peer - PeerZaada, Badey Madarse Badi Khaanqaah Waale Ke Paas o Lehaaz Ko Rukaawat Na BanNe De. Aameen

Alhamdulillaah Hamaare AalaHazrat Sarkaar Hamein Kaafi Hain Unke Fataawa e Mubaaraka Hamaare Liye Kaafi Hain, Aur Huzoor Tajushshariya ko Aaj Ham isi Wajah se itna chahTe hain kyu ki sarkar Tajushshariya Sarkar Alahazrat ke Kitaabon ke Aamil (khud Amal karne aur Uska Hukm dene wale) Hain.

Aayiye, is Mas’ale Me Huzoor Purnoor Sayyadi Sarkar Aalahazrat Ka Kya Fatwa Hai ….

Dekheiye>>> FATAAWA E RAZVIYA SHAREEF, JILD-15 (Mutarjim) 
Sahi Bukhari Jild 2 Pg No 901, Sahi Muslim Jild 1 Pg No 57

     Abdullah Bin Umar Radi Allaahu Ta’ala Anhuma Ki Riwaayat Huzoor Purnoor Sayyad e Aalam  ﷺ Ka Irshaad : Kisi Kalma Go Ko Kaafir Kahey Un Dono Me Ek Par Ye Balaa Zaroor Padey, Agar Jisey Kaha Wo Sach Kafir Tha Jab To Khair, Warna Ye Lafz Usi Kehne Waale Par Palat Aayega.

Sahi Bukhari Pg No 893, Sahi Muslim Pg No 57 Abu Zar Radi Allahu Ta'ala Anhu Ki Tehdees Huzoor ﷺ Ki Hadees : Jo Kisi Ko Kufr Par Pukaare Ya Khuda Ka Dushman Kahey Aur Wo Haqeeqat Me Aisa Na Ho To Uska Ye Kehna Usi Par Palat Aaye.

Hadeeqa Nadi'ya Sharhe Tareeqa e Muhammadiya ﷺ, Misr , 1276 Hijri, Jild 2, Page No. 156

Isi Tarah Kisi Ko Mushrik Ya Uski Misl Koi Lafz Kehna, k Wo Mushrik Na Tha, To Kehne Waala Khud Mushrik Ho Gaya.