Monday, 25 January 2016

Page 23

     Pata Chala Daal Me Zaroor Kuchh Na Kuchh Kaala Hai Balki Poori Daal Hi Kaali Hai. 

    Yaqeenan Huzoor Tajushshariya Ko Sach Nahi Bataya Ja Raha Hai Balki Hazrat Ziaul Mustafa Sahab Ne Jin Par ilzaam Lagaaya, Unhein Hi Galat Bataya Ja Raha Hai. Ya Fir Huzoor Tajushshariya Ko Is Baare Me Puri Jaankari Nahi Di Ja Rahi Hai.. Jaise Mai Aap Ko Bata Doon 2013 Me Facebook Ke Ta’alluq Se Kisine Kuch Galat Bataya To Huzoor Tajushariah Ne Facebook Use Karne (chalane) Se Mana Farma Diye, Uske Kuch Hi Din Baad Jab Kisine Asl Haqeeqat Pesh Ki To Huzoor  Tajushshariya Ne Kuchh Sharaa’yit Ke Saath Facebook Use Karne (chalane) Ki ijaazat Di. (Isi Tarah Shayad 2015 Me Bhi Hua Ek Baar Ya 2014 Me Ke Huzoor Tajushshariya Ne Facebook Use Karne (chalane) Se Mana Farmaaya [us vaqt mai Facebook chhod diya tha] Fir Jab Kisi Ne Theek Se Sawaal Kiya To ijaazat De Diye) [to fir mai Facebook use karne laga]

    Pata Chala, Alhumdulillah Huzoor Tajushshariya Ki Koi Galati Nahi Balke Unke Idhar Udhar Ke Log Hi Unhein Sahi Khabar Nahi Dete. Ab Mujhe Aap Insaaf Se  Batao? Kya  Khaanqaah E Hashmatiya Waale Haq Par Nahi Hain??  Mujhe Kis Ne Majboor Kiya Aaina E Haqeeqat Likhne Ko…. Mai To Wo Hoon Jo Pehle Salaam Bhi Padhta Tha To Aakhiri Sher Jise Log Is Tarah Padhte Hain

“ JaaNasheen E Raza Shaah Akhtar Raza
Fakhre Ahle Sunan Shaah Akhtar Raza
Hain Meri Zindagi Shaah Akhtar Raza
Inka Saaya Saron Par Rahe Daaima
Inki Nooraani Soorat Pe Laakhon Salaam” 

Is Ko Mai Is Tarah Padhta Tha,

“JaaNashin E Raza Shaah Akhtar Raza
Fakhre Ahle Sunan Shaah Muhadis E Kabeer 
Hai Meri Zindagi Shaah Idrees Raza
Inka Saaya Saron Par Rahe Daaima 
Inki Noorani Surat Pe Lakhon Salaam”

Ab Na Jane Mujhpar Log Kya Kya Hukm Lagayeinge, Par Mujhe Farq Nahi Padta. Maine Ye Kisi Ke Kehne Par Nahi Likha. Allah Ta’ala ﷻ Jaanta Hai Aur Uska Pyaara Habeeb ﷺ Gawaah Hai. 

Aakhir Me Mai Sab Se Guzaarish Karta Hoon Ke Allah ﷻ Aur Uske Habeeb ﷺ Ke Liye Apni Aankh Se Patti Hataao Sunniyon!!! Haqeeqat Ke Aaine Me Sab Ko Dekho Aap Samajh Gaye Haqeeqat Kya Hai. Hum Aaj Bhi Ye Hi Kehte Hain Allama Ziaul Mustafa Sahab Se Ke Aap Ne Jitni Baatein Kahi Hain Uska Suboot Pesh Kariye Warna Tauba Kar Lijiye. Warna Ye Baat Sabko Yaad Rakhna Chaahiye k Hamey Allaah Ki Baargaah Me Haazir Hona Hai.

 Aaj Log Sahi Baat Jaankar Bhi Khaamosh Hain, To Kuch Hain K Sahi Baat Jaan'Na Hi Nahi Chaahte. Shakhsiyat Unke Liye Sab Kuchh Ho Gayi Hai.