Monday, 25 January 2016

Page 20

     Aur Abhi Ye ilzaamon  Ka Silsila Khatam Nahi Hua Tha Ke Allama Ziaul Mustafa Sahab Ne Huzoor Sher E Sunnat Ki Gustaakhi Kar Diye, Iska Jo Jawaab Abdul Mustafa Sahab Ne Diya Agar Janaab Ko Maalum Hota Ke Zinda Rehkar Mera Hi Beda Garq Kareinge To Umr Lambi Hone Ki Dua Na Dete.

     Is Par Hazrat Zartaab Raza Sahab Ne Munaazre Ka Challenge Kiye Aur Hazrat Burhaan Raza Sahab Ne Khule aam Naam Le Kar Kaha Aa Jaao Munaazra Karne.

     To Janaab Sirf Itna Keh Dene Se Kaam Nahi Chalega Ke Mai In Logon Se Nipat Nahi Paaunga Aur Wo Bhi Allama Burhaan Se Kyunki Baatein To Burhaan (Daleel) Se Karni Hogi, Apne Mooh Miyan Mitthhu Ban'ne Se Kaam Nahi Chalega Ke Mai Allama Hoon, Mohadise Kabeer Hoon Ye Sab Alqaabaat Shariat Par Amal Karne Waalon Ko Milte Hai Apne Aap Ko Shariat Se Bhi Bada Samajhne Waalon Ko Nahi. 

     Hazrat Ziaul Mustafa Sahab Urs E Razvi Shareef Me Bhi Apne Aap Par Control Na Rakh Sake Aur Kya Bole Aaiye Sunte Hain …
Is Clip Ko Sunne Aur Download Karne Ke Liye 
        Yahaan Click Karein
    __________________________________

     "Ya Allah!!! Humne Ya Maulana Mufti Shoaib Sahab Ne Kya Sulehkulliyat Ki  Jo Tohmat Laga Di Gayi MaazAllah Aap Ne Agar Kisi Waqt Kuchh Galat Kaam Kiya To Ab Apne Us Kaam Se Tauba Kijiye… Aap Ko To Tauba Ki Taufeeq Nahi Hui Albatta Jiske Yahaan Aap Ki Baaraat Gayi Thi Usne Tauba Kar Liya Aur Tajushshariya Ka Mureed Hogaya… Magar Aap Ko Aaj Tak Tauba Ki Taufeeq Nahi Mili
       _______________________________________

Ispe Kisi Ne Sawaal Kyun Nahi Kiya Hazrat Ziaul Mustafa Sahab Se?
     ____________________________________

     Ab Aaiye Huzoor Tajushshariya Ka Ek  Fatwa Dekhte Hain Jis'se Saaf Waazeh Hojaaye Ke Hazrat Ziaul Mustafa Sahab Ne Jo Bhi Kaha, Jitne Bhi Ilzaam LagaayeGa, Sab Ka Suboot Hazrat Allama Ziaul Mustafa Sahab Ke Zimme Hi Hai.

     Ek Shakhs Ne Huzoor TajushShariya Se Daryaft Kiya Tha Ke Huzoor Chand Mukhalifeen Aur Hasideen Ye Afwaah Phaila Rahe Hain Ke Aapke Bhai Yani Huzoor Rehmaani Miyan Sahab Qibla (Alaihirrahma) Ne Aapko Kafir Kaha Hai, Iski Waaqe’iyat Aur Haqeeqat Kya Hai? Huzoor Isse Hamey Aagah Farmaaiye To Huzoor Sarkar Tajush Shariyah Ne Farmaaya Ke Is Ilzaam Ki Waaq’eiyat Batana Meri Zimmedari Nahi Hai Lehaaza Iske Baare Me Mujh Se Sawaal Karna Che Maana’ Daarad. Jo Log Ye Ilzaam Mujh Kamtareen Par Rakh Rahe Hain Uska Suboot Unhi Ke Zimme Hai Aur isi Fatwe Me Aage Farmaaya Ke Jo Kisi Ko Be Suboot E Sharai, Kafir Kahe Ba Hukme Hadees Kufr Usi Par Laut Ta Hai...