Monday 25 January 2016

Page 16

(3) “Mai Keh Raha Hoon Ke Ye Log Bahut Gair Zimmedar Hain” 
(Gair Zimmedari Waali Baat To Aap Kar Rahey Hain, Apni Marzi Se ilzaam Lagaate Ja Rahe Hain Ke Isne Mujhe Ye Kaha, Wo Kaha… Jab Ki Sach Ye Hai Ki Kisi Ne Kuch Bhi Nahi Kaha Warna Aap Suboot Zaroor Pesh Karte Ab Agar Koi Aap Ke Jumle Aap Ko Hi Kehde To Wo Fasaadi Ho Gaya, Waah!!!)

(4) “Khud Sanabil Raza Ne Deobandi Ke Yahaan Shaadi Ki Hai,Usne Shaadi Ki Hai Ek Deobandi Ke Ladki Se” 
(Hazrat Ji… 1 Saal Ho Gaye Aap Ko 25 Carod Ka In’aam Bhi Bataaya Gaya Lekin Aap Ne Suboot Pesh Nahi Kiya. Ab Jo Log Suboot Maang Rahe Hain Wahi Fasaadi Hain, Waah!!!)

(5) “Inhi Ka Aadmi Tha Wo Mujhe Baad Me Maloom Hua Ek Aadami Maqbool Naam Ka” (Ye Bhi Ek Ilzaam Hai Haalaanki Maqbool Razvi Ne Jo Baat Kiya Usme Is Baat Ka Dakhal Hi Nahi Ke Wo Kiska Aadmi Tha Lekin Uski Baaton Se Koi Andha Bhi Bata Sakta Hai Ke Wo Inka Nahi Balke Hazrat Ziaul Mustafa Sahab Ka Hi Aadmi Tha… Agar Nahi To Saboot Pesh Karein)

(6) “Inhi Ka Chela Chapeta Hai Davangeere Me Maqbool Naam Ka, Usne Mujhe Phone Kiya Ke Allama Sanabil Raza Aap Ko Sulehkulli Kehte Hain”
(Maqbool Razvi Bechaara Jab Ye Suna Hoga To Apna Sar Deewar Pe Maar Liya Hoga, Jis Par Chaaho Jo Chaaho Khule Aam ilzaam Laga Do Arey Waah !!! Aur Agar Koi Sawaal Kar Le K Ye Kaise..?  Usne To Aisa Kaha Hi Nahi To Ab Sawaal Karne Wala Hi Mujrim Aur Fasaadi, Waah!!!)

(7) “Usne Fatwa Likha …Ke Junaid Chishti Mashadi Likha… Ke Muhadise Kabeer Ne…. Jiske Baare Me (Likha) Kaha Ke…”
(Sawaal Karna Kab Se Fatwa Ho Gaya? Ya Hazrat Ziaul Mustafa Sahab Ki Lugat (Dictionary) Me Sawaal Ko Fatwa Kehte Hain ? Baherhaal Ye Bhi Ek Ilzaam)

(8) “Wo To Dar Haqeeqat Sunni Hai, Allama Azhari Sahab Ka Mureed Hai Aur Jo Aise Aadmi Ko Deobandi Kahe Wo Kafir”
(Allahu Akbar ! Ek Aur Ilzaam Mai Kya Likhoon…. Mujhe To Samajh Me Hi Nahi Aata, Itna Khule Aam Jhooth Aur ilzaam Lagaaya Ja Raha Hai, Phir Bhi Logon Ki Aankhon Par Patti Padi Hai)

(9) “Allama Par Laazim Hai Tajdeed E Imaan, Tajdeed E Nikah, Tajdeed E Bai’at, Tajdeed E Khilafat Ye Usne Fatwa Net Par Chadhaaya, WhatsApp Par”
(Sayyed Sahab Aale Rasool Ne Laazim To Nahi Kaha Haan Aap Se Sawaal  Kiye…. Lekin Aap Ne Apni Taraf Se Laazim Kar Liya… Jab Koi Kuchh Nahi Kehta Hai Uske Ta’alluq Se Aap Itni Badi - Badi Baat Kah Sakte Hain K Usne Mujhe Sulehkulli Kaha, Wo Log Aalim Nahi..Gair Zimmedaar Log Hain… Usne Deobandi Ke Yahan Shaadi Ki, Wo Inhi Ka Aadmi Tha Wagairah To Ye Koi Badi Baat Thodi  Huee, Afsos!!! )

(10) “Tajdeed e Khilaafat”….???......???.....
(Khilaafat Ka To Zikr Hai Hi Nahi… Aap ko Khilaafat Ki Zabardasti itni Fikr????... Kaash …. Aapko itni Fikr Imaan ki hoti to Aap Ab Tak Tauba Kar Chuke Hote) ….

(11) “Kisi Ne Poochha Ke Deobandi Aur Kaafir Kehna Ek Hukm Hai?”
(Aap Hi Ne Kyun Nahi Bata Diya K Ek Hukm Hai Ya Alag, Kyun Ki Hamaare Yahaan To Kaafir Usey Kehte Hain Jo Imaan Na Laaya Ho. Aur Wahaabi Deobandi Usey Jo Allah ﷻ Aur Uske Rasool ﷺ Ka Gustaakh, Kaafir Se Bad’tar Hota hai, Aur Islaam Me Gustaakh E Rasool Ki Saza Qatl Hai, Yaqeenan Khule Kafir Se Bad’tar Wahaabi Deobandi Hote Hain Aur Isme Kisi Ka Ikhtelaaf Nahi Magar Shaayad Aap Ki Dictionary Me Wahaabi, Kaafir Se Hukm Me Kam Maana Jaata Hai. )