Monday, 25 January 2016

Page 07

Aap Ne Gaur Kiya Is Clip Me

1- Ye ilzaam Ke Maqbool Inhi Ka Aadmi Tha
(Jawaab : Maqbool Inhi Ka Aadmi Tha Iski Sachchaai Maqbool Razvi Waali Clip Me Guzar Gayi Uspe Aap Gaur Kariye To Iska Jawaab Mil Jayega  ki wo kiska aadmi tha)

2- Maqbool Ne Mujhe Bataaya Ke Sanabil Raza Aap Ko Sulehkulli Kehte Hain
(Jawaab : Iska Jawaab Bhi Aap Ko Maqbool Razvi Waali Clip Me Mil Jayega Kyu Ki Usme Maqbool Razvi Ne Ye Kaha Hi Nahi, Balke Usne To Hazrat Allama Ziaul Mustafa Sahab Se Poochha Hai Ke Huzoor Maine Aap Ka Audio Suna Aap Hi Ne Kaha Ke Aap Ko Sulehkulli Kaha Kar Ke {Aur Aap Shafiq Ashrafi Ki Clip Me Bhi is Baat Ka Safed jhooth Hona Dekh Sakte Hai Ki Shafiq Ashrafi Se Allama Ziaul Mustafa Khud Keh Rahe Hain Ke Wo Log To Mujhe Bhi Sulehkulli Kehte Hain )

3- Sayyed Farid Ul Hasan Sahab Chishti Ke Sawaal Ko Fatwa Bole
(Jawaab: Hazrat Sayyed Farid Ul Hasan Chishti Sahab Ne To Sawaal Kiye naa ki fatwa diye jo Peeche Guzar Chuki Unki Clip Aap Sun lein ya padh lein)

4- Hazrat Sayyed Farid Ul Hasan Sahab Chishti Ne Inko Kafir Kaha
(Jawaab : Hazrat Sayyed Farid Ul Hasan Sahab Chishti Ki Clip Me Hi Maujood Hai ki Unhone sawaal kiya hai naa ke fatwa diya hai)

5- Sayyed Farid Ul Hasan Sahab Chishti Inko Bole Ke Allama Par Tajdeed E Imaan, Tajdeed E Nikaah, Tajdeed E Khilaafat Laazim Hai.
(Jawaab: Hazrat Sayyed Farid Ul Hasan Sahab Chishti Ki Clip Me Hi Maujood Hai Ki Unhone Sawaal Kiya Hai Naa Ke Fatwa Diya Hai.... Laazim Hazrat ne khud se hi kar liye)

6- Hazrat Allama Sanabil Raza Sahab Ki Jab Baraat Ja Rahi Thi To Unke Khaandan Walon Ne Mukhaalifat Ki
(Jawaab : Hazrat Allama Sanabil Raza Sahab Qibla Ke Tamaam Ghar Khaandaan Waale Unki Sehrabandi Ki Mehfil,Baraat, Nikaah, Waleeme Me Shareek The. Agar Koi Mukhaalifat Hoti, To Sab Ke Sab Khaandaan Waale Sehrabandi, ,Baaraat Se Lekar Nikaah, Waleeme Tak Kaise Shareek Rahe? 
       Agar Ziaul Mustafa Sahab Ke Kehne Ke Hisaab Se Kisi Ne Mukhaalifat Ki Thi ,To Wo Shareek Kaise Hua… Kyonke Sab Ghar Khaandaan Waalo Ne Sehrabandi Se Waleeme Tak Har Mehfil Me Shirkat Ki…To Mukhaalifat Karne K Baad Bhi Shareek Hone Waala Apna Imaan Kaise Bachaa Paayega..Kya Wo Bhi Inhi Ki Tarah Hai K Jis Par Shari’at Ka Koi Hukm Nahi Lagta?
      Hazrat  Allama Ziaul Mustafa Sahab Ko Gawaahaane Sharayi Pesh Karna Chahiye Ke Baraat Jaate  Waqt Hazrat Allama Sanabil Raza Sahab Ke Khaandaan Walon Ne Shahaab Bhai Razvi Aur Unke Ghar Waale Deobandi The, Isiliye Mukhaalifat Ki Thi Aur Shareek Bhi Nahi Huey The.)